Wahshat Raza Ali Kalkatvi

kisi tarah din to kaT rahe hain fareb-e-ummid kha raha hun

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

Kolkata, West Bengal, India

1881-1956
kisī tarah din to kaT rahe haiñ fareb-e-ummīd khā rahā huuñ
hazār-hā naqsh aarzū ke banā rahā huuñ miTā rahā huuñ
vafā mirī mo'tabar hai kitnī jafā vo kar sakte haiñ kahāñ tak
jo vo mujhe aazmā rahe haiñ to maiñ unheñ aazmā rahā huuñ
kisī kī mahfil kā naġhma-e-nai moharrik-e-nāla o fuġhāñ hai
fasāna-e-aish sun rahā huuñ fasāna-e-ġham sunā rahā huuñ
zamāna bhī mujh se nā-muvāfiq maiñ aap bhī dushman-e-salāmat
ta.ajjub is kā hai bojh kyūñkar maiñ zindagī kā uThā rahā huuñ
na ho mujhe justujū-e-manzil magar hai manzil mirī talab meñ
koī to mujh ko bulā rahā hai kisī taraf ko to jā rahā huuñ
yahī to hai nafā koshishoñ kā ki kaam saare bigaḌ rahe haiñ
yahī to hai fā.eda havas kā ki ashk-e-hasrat bahā rahā huuñ
ḳhudā hī jaane ye sāda-lauhī dikhā.egī kyā natīja 'vahshat'
vo jitnī ulfat ghaTā rahe haiñ usī qadar maiñ baḌhā rahā huuñ
Top Urdushayar.com