tire āshufta se kyā hāl-e-betābī bayāñ hogā
jabīn-e-shauq hogī aur terā āstāñ hogā
zabān-e-sham-e-mahfil se sunā hai ahl-e-mahfil ne
tirā anjām kyā parvāna-e-ātish-ba-jāñ hogā
talātum hai umīdoñ kā tasādum ārzūoñ kā
dil-e-hañgāma-parvar kaun terā rāzdāñ hogā
raheñ yūñhī agar rañgīniyāñ tarz-e-tabassum kī
mire zaḳhm-e-jigar par ḳhanda-e-gul kā gumāñ hogā
tajammul se guzar hogā tire kūche meñ āshiq kā
tamannāoñ kā lashkar kārvāñ-dar-kārvāñ hogā
kabhī taufīq tark-e-mā-sivā kī ho hī jā.egī
dil-e-āzād hogā aur aish-e-jāvedāñ hogā
surūr-afzā-o-mastī-ḳhez-o-shorish-āfrīñ hogī
vo bazm-e-sher jis meñ 'vahshat'-e-shevā-bayāñ hogā