kis nām-e-mubārak ne maza muñh ko diyā hai
kyuuñ lab pe mire zamzama-e-sall-e-alā hai
kis dar kī gadā.ī mirī qismat meñ hai yā rab
sar par jo mire sāya-fagan bāl-e-humā hai
siine meñ mire dāġh-e-ġham-e-ishq-e-nabī hai
ik gauhar-e-nāyāb mire haath lagā hai
sargarm hai dil shāfa-e-mahshar kī talab meñ
kāfir huuñ agar kuchh bhī ġham-e-roz-e-jazā hai
gustāḳh tirī mad.h-sarā.ī meñ hai 'vahshat'
kyūñkar na ho tere hī to kūche kā gadā hai