tīr-e-nazar ne zulm ko ehsāñ banā diyā
tarkīb-e-dil ne dard ko darmāñ banā diyā
sad shukr aaj ho ga.ī takmīl ishq kī
apne ko ḳhāk-e-kūcha-e-jānāñ banā diyā
kotāhī koī dast-e-junūñ se nahīñ huī
dāman ko ham-kanār-e-girebāñ banā diyā
chhoḌī hai jab se maiñ ne salāmat-ravī kī chaal
dushvāriyoñ ko raah kī āsāñ banā diyā
ai mish.al-e-ummīd ye ehsān kam nahīñ
tārīk shab ko tū ne daraḳhshāñ banā diyā
husn-āfrīñ huā hai tasavvur jamāl kā
dil ko havā-e-gul ne gulistāñ banā diyā
zohd aur ittiqā pe mujhe apne naaz thā
ḳhud maiñ ne tujh ko dushman-e-īmāñ banā diyā
ā.īna-e-jamāl ko dekhūñgā kis tarah
us ne to pahle hī mujhe hairāñ banā diyā
vo imtiyāz-e-husn hai ma.anī o lafz kā
'vahshat' ko jis ne 'ġhālib'-e-daurāñ banā diyā