Wahshat Raza Ali Kalkatvi

shauq ne ishrat ka saman kar diya

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

Kolkata, West Bengal, India

1881-1956
shauq ne ishrat kā sāmāñ kar diyā
dil ko mahv-e-rū-e-jānāñ kar diyā
tū ne ai jam.iyat-e-dil kī havas
aur bhī mujh ko pareshāñ kar diyā
vaah re zaḳhm-e-mohabbat kī ḳhalish
jis ko dil ne rāhat-e-jāñ kar diyā
ḳhud-numā.ī ḳhud-faroshī ho ga.ī
aap ne apne ko arzāñ kar diyā
un ke dāman tak na pahuñchā dast-e-shauq
us ko masrūf-e-garebāñ kar diyā
bazm meñ jab ġhair par Daalī nazar
aap ne mujh par bhī ehsāñ kar diyā
kuchh baḌhā kar maiñ ne bahr-e-sharh-e-ġham
chaak ko unvān-e-dāmāñ kar diyā
jhuk ga.ī āḳhir hayā se un kī aañkh
shauq ne mujh ko pashīmāñ kar diyā
pā-e-but par maiñ ne do sajde kiye
kufr ko bhī juzv-e-īmāñ kar diyā
use ḳhayāl-e-laila-e-majnūñ-navāz
tū ne sahrā ko gulistāñ kar diyā
ho ke zaa.il quvvat-e-ehsās ne
mushkiloñ ko merī āsāñ kar diyā
dil nahīñ jaatā thā sū-e-rāh-e-dair
kaise kāfir ko musalmāñ kar diyā
tū ne 'vahshat' kyuuñ ḳhilāf-e-rasm-e-ishq
dard ko rusvā-e-darmāñ kar diyā
Top Urdushayar.com