Wahshat Raza Ali Kalkatvi

talKHi-kash-e-naumidi-e-didar bahut hain

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

Kolkata, West Bengal, India

1881-1956
talḳhī-kash-e-naumīdi-e-dīdār bahut haiñ
us nargis-e-bīmār ke bīmār bahut haiñ
aalam pe hai chhāyā huā ik yaas kā aalam
yaanī ki tamannā ke giraftār bahut haiñ
ik vasl kī tadbīr hai ik hijr meñ jiinā
jo kaam ki karne haiñ vo dushvār bahut haiñ
vo terā ḳharīdār-e-qadīm aaj kahāñ hai
ye sach hai ki ab tere ḳharīdār bahut haiñ
mehnat ho musībat ho sitam ho to mazā hai
milnā tirā āsāñ hai talabgār bahut haiñ
ushshāq kī parvāh nahīñ ḳhud tujh ko vagarna
jī tujh pe fidā karne ko tayyār bahut haiñ
'vahshat' suḳhan o lutf-e-suḳhan aur hī shai hai
dīvān meñ yāroñ ke to ash.ār bahut haiñ
Top Urdushayar.com