Wahshat Raza Ali Kalkatvi

aap apna ru-e-zeba dekhiye

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

Kolkata, West Bengal, India

1881-1956
aap apnā rū-e-zebā dekhiye
yā mujhe mahv-e-tamāshā dekhiye
shauq ko hañgāma-ārā dekhiye
kārobār hasrat-afzā dekhiye
rañg-e-gulzār-e-tamannā dekhiye
dilkashī-hā-e-tamāshā dekhiye
husn hai sau rañg meñ tahsīñ-talab
dīda-e-hairāñ se kyā kyā dekhiye
bazm meñ us be-muravvat kī mujhe
dekhnā paḌtā hai kyā kyā dekhiye
hasrat āñkhoñ meñ hai lab ḳhāmosh haiñ
sheva-e-arz-e-tamannā dekhiye
haa.e re zauq-e-tamāshā-e-jamāl
ḳhud tamāshā huuñ tamāshā dekhiye
aap ne phir kar na dekhā is taraf
ho gayā ḳhūn-e-tamannā dekhiye
uThtī haiñ nazreñ mirī kis shauq se
mujh ko hañgām-e-tamāshā dekhiye
hasratoñ kā haa.e re dil meñ hujūm
ārzūoñ kā natīja dekhiye
sajde ko betāb hotī haiñ jabīñ
shoḳhi-e-naqsh-e-kaf-e-pā dekhiye
maiñ huuñ us saaqī kā dīvāna jise
dekhiye jab mast-e-sahbā dekhiye
ḳhaak meñ kis din milātī hai mujhe
us se milne kī tamannā dekhiye
kahte haiñ kar leñge us kāfir ko raam
hazrat-e-'vahshat' kā daavā dekhiye
Top Urdushayar.com