Wahshat Raza Ali Kalkatvi

labrez-e-haqiqat go afsana-e-musa hai

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

Kolkata, West Bengal, India

1881-1956
labrez-e-haqīqat go afsāna-e-mūsā hai
ai husn-e-hijāb-ārā kis ne tujhe dekhā hai
mahfil sī sajā.ī hai dīdār kī hasrat ne
har-chand tirā jalva mahbūb-e-tamāshā hai
miTtā hai kabhī dil se naqsh us kī mohabbat kā
nākām tamannā bhī majbūr tamannā hai
jazbāt kī duniyā meñ barpā hai qayāmat sī
is haal meñ rū-poshī kyā aap ko zebā hai
saaqī tirī mahfil ko rañgīn kiyā jis ne
vo ḳhuun hai taqve kā yā jalva-e-mīnā hai
ik sheva taġhāful hai ik ishva tajāhul hai
ġhussa hai bajā terā shikva mirā bejā hai
ye be-dilī achchhī hai dīvāna na ban 'vahshat'
anjām tamannā kā hasrat ke sivā kyā hai
Top Urdushayar.com