Wahshat Raza Ali Kalkatvi

maine mana kaam hai nala dil-e-nashad ka

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

Kolkata, West Bengal, India

1881-1956
maiñ ne maanā kaam hai naala dil-e-nāshād kā
hai taġhāful sheva āḳhir kis sitam-ījād kā
haa.e vo dil jo hadaf thā nāvak-e-bedād kā
dard sahtā hai vahī ab ġhaflat-e-sayyād kā
nargis-e-mastāna meñ kaifiyat-e-jām-e-sharāb
qāmat-e-rānā pe aalam misra-e-ustād kā
māna-e-fariyād hai kuchh tab.a kī afsurdagī
kuchh sukūt-āmoz hai pās-e-adab sayyād kā
is qadar dilkash rahā terā agar andāz-e-jaur
zaḳhm-e-dil muñh chuum legā ḳhanjar-e-bedād kā
majlis-e-mātam banī aane se un ke bazm-e-aish
paḌ gayā phūloñ meñ mere ġhul mubārakbād kā
tū na kar tark-e-sitam zālim sitam ho jā.egā
jaañ se jā.egā ḳhūgar lazzat-e-bedād kā
dard-e-nākām-e-hujūm-e-ārzū kā hai ma.aal
talḳhi-e-hasrat natīja shauq-e-ulfat-zād kā
hasrat-afzā hai bahut mere dil-e-vīrāñ kā jaal
kaun hai farmāñ-ravā is mulk-e-ġhair-ābād kā
lutf hī aatā rahā hai sa.ī-e-bātil meñ mujhe
hai yahāñ afsos kis ko mehnat-e-barbād kā
khīñch kar le chal mujhe shauq-e-asīrī sū-e-dām
kaam aisā kar ki jis se jī baḌhe sayyād kā
kis ko shikva hijr kā aur kis ko hasrat vasl kī
lutf-parvardā hai merā dil kisī kī yaad kā
ye adā-e-dil-rubāyāna ye andāz-e-hayā
kis tarah phir kaam kartī hai nazar jallād kā
'vahshat' us but ne taġhāful jab kiyā apnā shi.ār
kaam ḳhāmoshī se maiñ ne bhī liyā fariyād kā
Top Urdushayar.com