Wahshat Raza Ali Kalkatvi

aaina-e-KHayal tha aks-pazir raaz ka

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

Kolkata, West Bengal, India

1881-1956
ā.īna-e-ḳhayāl thā aks-pazīr raaz kā
tuur shahīd ho gayā jalva-e-dil-navāz kā
paaya bahut kiyā buland us ne harīm-e-nāz kā
tā nā pahuñch sake ġhubār-e-rah-guzar-e-niyāz kā
ḳhastagī-e-kalīm ne nukta ajab samjhā diyā
varna harīf meñ bhī thā is mizha-e-darāz kā
dair milā thā raah meñ ka.abe ko ham nikal ga.e
jazba-e-shauq meñ dimāġh kis ko ho imtiyāz kā
bandagī aur sāhabī asl meñ donoñ ek haiñ
jis kā ġhulām ayaaz hai vo hai ġhulām ayaaz kā
go tahī-nasīb ne duur rakhā to kyā huā
banda-e-ḳhāna-zād huuñ us ke qad-e-darāz kā
shauq tirā hai maujzan zauq tirā bahāna-jū
khol na deñ bharam kahīñ parad gyaan raaz kā
mastī-e-be-ḳhudī se yaañ aañkh khulī na hashr tak
ya.anī yahī javāb thā nargis-e-nīm-bāz kā
āh-o-fuġhāñ ke saath saath chhā ga.ī ek be-ḳhudī
qat-e-zabāñ zarūr thā sham-e-zabān-darāz kā
ḳhaak meñ mil ga.e vale aañkh uThī na sharm se
ham se huā na haq adā us kī nigāh-e-nāz kā
mutrib-e-ḳhuld kyā sunā.e vahshat-e-ḳhasta kyā sune
mo'taqid-e-qadīm hai zamzama hijāz kā
Top Urdushayar.com