'vahshat'-e-mubtalā ḳhudā ke liye
jaan detā hai kyuuñ vafā ke liye
āshnā sab hue haiñ begāne
ek begāna-āshnā ke liye
ham ne aalam se bevafā.ī kī
ek māshūq-e-bevafā ke liye
thā use zauq-e-āshiq-āzārī
ḳhuub maiñ ne maze jafā ke liye
ġhālib aa.ī farāmushī us kī
vaada taḌpā kiyā vafā ke liye
ye bhī terī gadā-navāzī thī
maiñ ne bose jo naqsh-e-pā ke liye
zauq-e-nazzāra ne kiyā hai ḳhaak
surma huuñ chashm-e-surma-sā ke liye
justujū nañg-e-ārzū niklī
dard rusvā huā davā ke liye
baḌh chalī hai bahut hayā terī
mujh ko rusvā na kar ḳhudā ke liye
hai ḳhamoshī mujhe zabāñ 'vahshat'
fikr kyā arz-e-mudda.ā ke liye