Wahshat Raza Ali Kalkatvi

zamin roi hamare haal par aur aasman roya

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

Kolkata, West Bengal, India

1881-1956
zamīñ roī hamāre haal par aur āsmāñ royā
hamārī bekasī ko dekh kar saarā jahāñ royā
maiñ jab niklā chaman se shabnam āb-e-gulistāñ royā
udāsī chhā ga.ī aisī ḳhud āḳhir bāġhbāñ royā
na aayā rahm kuchh bhī aah dil meñ us sitamgar ke
hamārī jab.ha-sā.ī ke asar se āstāñ royā
har ik azv-e-badan mātam-kunāñ hai dil ke jaane se
huā yūsuf jo gum to kārvāñ kā kārvāñ royā
ḳhalal-afgan tirī bazm-e-tarab meñ kaun ho zālim
huā kyā gar tire kūche meñ koī tufta-e-jāñ royā
mire aañsū tirī bedād kā parda na kholeñge
abas ye bad-gumānī hai maiñ kab royā kahāñ royā
udū ḳhush hoñ to hoñ ai be-muravvat terī mahfil meñ
mirā to haal ye hai jab kabhī aayā yahāñ royā
jafā-e-dushmanāñ aur bevafā.ī-hā-e-yārāñ se
bahut ġham-dīda ho kar 'vahshat'-e-āzurda-jāñ royā
Top Urdushayar.com