Wahshat Raza Ali Kalkatvi

bahaar aai hai aaraish-e-chaman ke liye

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

Kolkata, West Bengal, India

1881-1956
bahār aa.ī hai ārā.ish-e-chaman ke liye
mirī bhī tab.a ko tahrīk hai suḳhan ke liye
ḳhayāl tak na kiyā ahl-e-anjuman ne kabhī
tamām raat jalī sham.a anjuman ke liye
vatan meñ aañkh churāte haiñ ham se ahl-e-vatan
taḌapte rahte haiñ ġhurbat meñ ham vatan ke liye
chaman ke daam se jā.eñge ham kahāñ sayyād
qafas fuzūl hai parvarda-e-chaman ke liye
maiñ qaid-e-ashk se āzād huuñ mohabbat meñ
ki tujh ko sham.a banānā hai anjuman ke liye
zabān-e-ahl-e-basīrat pe arz hairat hai
sukūt daad hai goyā mire suḳhan ke liye
faroġh-e-tab-e-ḳhudā-dād garche thā 'vahshat'
riyāz kam na kiyā ham ne kasb-e-fan ke liye
Top Urdushayar.com