surūr-afzā huī āḳhir sharāb āhista āhista
huā vo bazm-e-mai meñ be-hijāb āhista āhista
ruḳh-e-raushan se yuuñ uTThī naqāb āhista āhista
ki jaise ho tulū-e-āftāb āhista āhista
kiyā jab shauq ne us se ḳhitāb āhista āhista
hayā ne bhī diyā āḳhir javāb āhista āhista
vo mastī-ḳhez nazreñ rafta rafta le uḌiiñ mujh ko
kiyā kāshāna-e-dil ko ḳharāb āhista āhista
baḌhā hañgāma-e-shauq is qadar bazm-e-harīfāñ meñ
ki ruḳhsat ho gayā us kā hijāb āhista āhista
kiyā kāmil hameñ ik umr meñ soz-e-mohabbat ne
hue ham ātish-e-ġham se kabāb āhista āhista
abas thā zabt kā da.avā sitam us ke sitam nikle
nigāheñ ho ga.iiñ āḳhir pur-āb āhista āhista
dabistān-e-vafā meñ umr bhar kī safha-gardānī
samajh meñ aa.ī ulfat kī kitāb āhista āhista
ba-qadr-e-shauq use tāb-e-tapīdan thī kahāñ qātil
kiyā bismil ne tere iztirāb āhista āhista
balā haiñ shāhidān-e-shahr 'vahshat' mai-parastī meñ
huā maiñ un kī sohbat meñ ḳharāb āhista āhista