sharminda kiyā jauhar-e-bāliġh-nazrī ne
is jins ko bāzār meñ pūchhā na kisī ne
sad shukr kisī kā nahīñ mohtāj-e-karam meñ
ehsān kiyā hai tirī bedād-garī ne
mohtāj thī ā.īne kī tasvīr sī sūrat
tasvīr banāyā mujhe mahfil meñ kisī ne
gul hañste haiñ ġhunche bhī haiñ labrez-e-tabassum
kyā un se kahā jā ke nasīm-e-saharī ne
māyūs na kar de kahīñ un kī nigah-e-garm
ummīd dilā.ī hai mujhe sāda-dilī ne
mehnat hī pe mauqūf hai āsā.ish-e-getī
khoī mirī rāhat mirī rāhat-talabī ne
'vahshat' maiñ nigāhoñ ke tajassus se huuñ āzād
ehsān kiyā mujh pe mirī be-hunarī ne