Wahshat Raza Ali Kalkatvi

wafa-e-dostan kaisi jafa-e-dushmanan kaisi

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

Kolkata, West Bengal, India

1881-1956
vafā-e-dostāñ kaisī jafā-e-dushmanāñ kaisī
na pūchhā ho kisī ne jis ko us kī dāstāñ kaisī
kuchh aisā ehtirām-e-dard-e-ulfat hai mire dil ko
ḳhamoshī hukmarāñ hai aah o fariyād o fuġhāñ kaisī
kisī ko fikr-e-āzādī nahīñ is qaid-e-rañgīñ se
dil-e-ālam pe hai chhā.ī huī mohr-e-butāñ kaisī
bhulā hī dete haiñ us ko jo guzrā bazm-e-ālam se
hai sab ko apnī apnī fikr yād-e-raftagāñ kaisī
tumhārā mudda.ā hī jab samajh meñ kuchh nahīñ aayā
to phir mujh par nazar Daalī ye tum ne mehrbāñ kaisī
abhī hote agar duniyā meñ 'dāġh'-e-dehlavī zinda
to vo sab ko batā dete hai 'vahshat' kī zabāñ kaisī
Top Urdushayar.com