dard kā mere yaqīñ aap kareñ yā na kareñ
arz itnī hai ki is raaz kā charchā na kareñ
laakh ġhāfil sahī par aise bhī ham kor nahīñ
ki chaman dekh ke zikr-e-chaman-ārā na kareñ
aql-o-dānish se to kuchh kaam na niklā apnā
kab tak āḳhir dil-e-dīvāna kā kahnā na kareñ
vo nigāheñ ajab andāz se haiñ ishva-farosh
ġham-e-pinhāñ ko hamāre kahīñ rusvā na kareñ
tere āshufta-sar aise bhī nahīñ saudā.ī
ki dil-o-dīñ ke liye zulf kā saudā na kareñ
maiñ ne behūda tavaqqo kī sazā paa.ī hai
kuchh ḳhayāl aap mirī hasrat-e-dil kā na kareñ
mere armānoñ ko kaash itnī samajh ho 'vahshat'
ki un āñkhoñ se muravvat kā taqāzā na kareñ