lutf-e-nihāñ se jab jab vo muskurā diye haiñ
maiñ ne bhī zaḳhm dil ke un ko dikhā diye haiñ
kuchh harf-e-ārzū thā kuchh yād-e-aish-e-raftā
jitne the naqsh dil meñ ham ne miTā diye haiñ
fart-e-ġham-o-alam se jab dil huā hai giryāñ
us ne ināyatoñ ke dariyā bahā diye haiñ
dekhe haiñ tere tevar dhokā na khā.eñge ab
uThte the valvale kuchh ham ne dabā diye haiñ
us dil-nashīñ adā kā matlab kabhī na samjhe
jab ham ne kuchh kahā hai vo muskurā diye haiñ
shoḳh kar diyā hai chheḌoñ se ham ne tum ko
kuchh hausle hamāre tum ne baḌhā diye haiñ
koī tujh ko dekhe parda uThāne vaale
tū ne tajalliyoñ ke parde girā diye haiñ
kartā huuñ 'vahshat' un se arz-e-niyāz-e-pinhāñ
is kaam ke tarīqe dil ne batā diye haiñ