Wahshat Raza Ali Kalkatvi

yahi hai ishq ki mushkil to mushkil aasan hai

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

Kolkata, West Bengal, India

1881-1956
yahī hai ishq kī mushkil to mushkil āsāñ hai
milā hai dard vo dil ko jo rāhat-e-jāñ hai
tirī nigāh samajhtī hai yā nahīñ dekhūñ
lab-e-ḳhamosh meñ koī savāl pinhāñ hai
murād-e-zauq ḳharābī kī ab bar aa.egī
ki dil kī taak meñ vo chashm-e-fitna-sāmāñ hai
farāġh-e-hauslagī par junūñ kī shāhid hai
vo ek chaak jo dāman se tā-garebāñ hai
ye be-ḳhudī hai mire aish-e-zindagī kī kafīl
nigāh-e-shauq abhī mahv-e-rū-e-jānāñ hai
balā-kashoñ kī duā hai ki ai ḳhudā na miTe
jigar kā daaġh ki chashm-o-charāġh-e-hijrāñ hai
havā hai shauq-e-suḳhan dil meñ mauj-zan 'vahshat'
ki ham-safīr mirā ro.ab sā suḳhan-dāñ hai
Top Urdushayar.com