Wahshat Raza Ali Kalkatvi

nahin ki ishq nahin hai gul o saman se mujhe

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

Kolkata, West Bengal, India

1881-1956
nahīñ ki ishq nahīñ hai gul o saman se mujhe
dil-e-fasurda liye jaatā hai chaman se mujhe
misāl-e-sham.a hai ronā bhī aur jalnā bhī
yahī to fā.eda hai terī anjuman se mujhe
baḌhī hai yaas se kuchh aisī vahshat-e-ḳhātir
nikāl kar hī rahegī ye ab vatan se mujhe
aziiz agar nahīñ rakhtā na rakh zalīl hī rakh
magar nikāl na tū apnī anjuman se mujhe
vatan samajhne lagā huuñ maiñ dasht-e-ġhurbat ko
zamāna ho gayā nikle hue vatan se mujhe
mire bhī dāġh-e-jigar misl-e-lāla haiñ rañgīñ
hai chashmak us gul-e-ḳhūbī ke bāñkpan se mujhe
chhupā na gosha-nashīnī se rāz-e-dil 'vahshat'
ki jāntā hai zamāna mire suḳhan se mujhe
Top Urdushayar.com