shauq detā hai mujhe paiġhām-e-ishq
haath meñ labrez le kar jām-e-ishq
aap huuñ zauq-e-asīrī se ḳharāb
koī le jaa.e mujhe tā dām-e-ishq
ishtiyāq-e-sajdā se betāb huuñ
ai harīm-e-kāba-e-islām-e-ishq
qais o vāmiq se kahāñ ab ahl-e-dil
thā inhīñ logoñ se raushan nām-e-ishq
naash par farhād ke shīrīñ ga.ī
vo sitam-parvarda-e-ālām-e-ishq
aur yuuñ karne lagī ro kar ḳhitāb
ai vafā kī jaan ai nākām-e-ishq
tujh se raunaq-āshnā hai sub.h-e-shauq
tujh se zīnat-āfrīñ hai shām-e-ishq
jaan de kar tū to chhūTā ranj se
rah ga.ī maiñ hī balā āshām-e-ishq
terā marnā ishq kā āġhāz thā
maut par hogā mire anjām-e-ishq
'vahshat'-e-vahshī ki thā sab se alag
ho gayā kyā be-takalluf rām-e-ishq