tū hai aur aish hai aur anjuman-ārā.ī hai
maiñ huuñ aur ranj hai aur gosha-e-tanhā.ī hai
sach kahā hai ki ba-ummīd hai duniyā qaa.im
dil-e-hasrat-zada bhī terā tamannā.ī hai
dil kī fariyād jo suntā huuñ to ro detā huuñ
choT kambaḳht ne kuchh aisī hī to khaa.ī hai
be-niyāzī kī adā.eñ vo dikhāte haiñ bahut
ḳhū-e-taslīm mirī un ko pasand aa.ī hai
zulf barham mizha bargashta jabīñ chīn-ālūd
merī bigḌī huī taqdīr kī ban aa.ī hai
adab-āmoz balā kā hai taġhāful un kā
shauq-e-pur-hauslā ne ḳhuub sazā paa.ī hai
kahe detā huuñ kisī aur kī jānib tū na dekh
kyā ye kuchh kam hai ki 'vahshat' tirā saudā.ī hai