yahāñ har aane vaalā ban ke ibrat kā nishāñ aayā
gayā zer-e-zamīñ jo koī zer-e-āsmāñ aayā
na ho garm is qadar ai sham.a is meñ terā kyā bigḌā
agar jalne ko ik parvāna-e-ātish-ba-jāñ aayā
ḳhudā jaane milā kyā mujh ko jā kar un kī mahfil meñ
ki bā-sad nā-murādī bhī vahāñ se shādmāñ aayā
jamāyā rañg apnā maiñ ne miT kar tere kūche meñ
yaqīn-e-ishq merā ab to tujh ko bad-gumāñ aayā
na ho āzurda tū āzurdagī kā kaun mauqā hai
agar mahfil meñ terī 'vahshat'-e-āzurda-jāñ aayā