nahīñ mumkin lab-e-āshiq se harf-e-mudda.ā nikle
jise tum ne kiyā ḳhāmosh us se kyā sadā nikle
qayāmat ik bapā hai sīna-e-majrūh-e-ulfat meñ
na tīr-e-dil-nashīñ nikle na jān-e-mubtelā nikle
tumhāre ḳhūgar-e-bedād ko kyā lutf kī hājat
vafā aisī na karnā tum jo āḳhir ko jafā nikle
gumāñ thā kām-e-dil aġhyār tum se paate haiñ lekin
hamārī tarah vo bhī kushta-e-teġh-e-jafā nikle
zabardastī ġhazal kahne pe tum āmāda ho 'vahshat'
tabī.at jab na ho hāzir to phir mazmūn kyā nikle