Saqib Lakhnavi

dil kyun tapan hai kucha-e-dildar dekh kar

Saqib Lakhnavi

Agra, Uttar pradesh, India

1869-1946
dil kyuuñ tapāñ hai kūcha-e-dildār dekh kar
aage baḌhūñgā charḳh kī raftār dekh kar
ḳhush ho sakā na hāl-e-dil-e-zār dekh kar
jaltā hai ġhair merī shab-e-tār dekh kar
samjhe na aap dīda-e-ḳhūñ-bār dekh kar
kyā kījiyegā hāl-e-dil-e-zār dekh kar
sayyād dāġh-e-dil na samajhnā ki chalte vaqt
gulshan ke phuul laayā huuñ do-chār dekh kar
tai kar ke aaj ḳhāna-badoshī kī manzileñ
baiThā huuñ us kā sāya-e-dīvār dekh kar
kuchh kuchh zamāna jaan gayā kār-e-husn-o-ishq
mansūr ko jahān meñ sardār dekh kar
vaqf-e-zabān-e-ahl-e-hasad hai lahū mirā
ḳhush ho rahā huuñ vādī-e-pur-ḳhār dekh kar
patthar nahīñ ki tuur ke daur āzmā.e jaa.eñ
ai barq-e-husn hāl-e-dil-e-zār dekh kar
ab dahr rū-shanā-o-vafā-o-jafā huā
mere gale par aap kī talvār dekh kar
mahshar meñ koī pūchhne vaalā to mil gayā
rahmat baḌhī hai mujh ko gunahgār dekh kar
hai raushnī qafas meñ magar sūjhtā nahīñ
abr-e-siyāh jānib-e-gul-zār dekh kar
rotā huuñ shām-e-ġham meñ dil-e-gum-shuda ko maiñ
yaad aa rahī hai sham-e-shab-tār dekh kar
chaliye magar ḳhayāl rahe umr-e-dahr kā
tham jaa.e āsmāñ na ye raftār dekh kar
rotā huuñ vaqt-e-nāla guzarne se aur bhī
shab ko tulū-e-sub.h ke āsār dekh kar
bas ek din kī baat hai ai ishq-e-lā-zavāl
maiñ kyā karūñgā misr kā bāzār dekh kar
kyā thā ki aise vaqt meñ sāhab-dilān-e-hashr
dekhā kiye mujhe tirī talvār dekh kar
sad-chāk dil kā zikr na bhūlā maiñ der meñ
tasbīh yaad aa ga.ī zunnār dekh kar
TuuTe haiñ shīsha-hā-e-dil itne ki ahl-e-dard
rakhte haiñ paañv ḳhaak pe sau baar dekh kar
sayyād kis jagah pe qafas hai ki dil mirā
dar ho rahā hai baaġh kī dīvār dekh kar
in dostoñ meñ vo na hoñ yārab jo vaqt-e-dīd
bīmār ho ga.e ruḳh-e-bīmār dekh kar
vo kyā samajh sakeñge nasheb-o-farāz-e-dahr
jo chal rahe haiñ raah ko hamvār dekh kar
kahte haiñ dil-lagī mirī shām-e-firāq ko
achchhā yūñhī sahī magar ik baar dekh kar
'sāqib' ajab nahīñ ki sar-e-tūr-e-imtihāñ
ġhash dil ko aa.e jalva-e-ash.ār dekh kar
Top Urdushayar.com