aur ishrat kī tamannā kyā kareñ
sāmne tū ho tujhe dekhā kareñ
mahv ho jaa.eñ tasavvur meñ tire
ham bhī apne qatre ko dariyā kareñ
ham ko hai har roz har vaqt intizār
banda-parvar gaah gaah aayā kareñ
chārāgar kā chāhiye karnā ilaaj
us ko bhī apnā sā dīvāna kareñ
un ke aane kā bharosā ho na ho
raah ham un kī magar dekhā kareñ
ham nahīñ nā-vāqif rasm-e-adab
dil kī betābī ko 'vahshat' kyā kareñ