Wahshat Raza Ali Kalkatvi

hue hain gum jis ki justuju mein usi ki hum justuju karenge

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

Kolkata, West Bengal, India

1881-1956
hue haiñ gum jis kī justujū meñ usī kī ham justujū kareñge
rakkhā hai mahrūm jis ne ham ko usī kī ham aarzū kareñge
ga.e vo din jab ki is chaman meñ havā-e-nashv-o-numā thī ham ko
ḳhizāñ ko dekhā nahīñ hai ham ne ki ḳhvāhish-e-rañg-o-bū kareñge
hikāyat-e-ārzū hai nāzuk zabān kyā ḳhaak kah sakegī
lab-e-ḳhamosh-o-nigāh-e-hasrat se dil kī ham guftugū kareñge
jagah jo āñkhoñ meñ maiñ ne dī thī to un se thī chashm-e-rāz-dārī
ye kyā ḳhabar thī ki ashk mere mujhī ko be-ābrū kareñge
abhī to gum-karda-rāh ḳhud haiñ mai-e-mohabbat kī be-ḳhudī meñ
agar kabhī aap meñ ham aa.e to us kī bhī justujū kareñge
us anjuman meñ ki chashm-e-sāqī kafīl ho aish-e-zindagī kī
vo bāda-ḳhvārī meñ ḳhaam hoñge jo fikr-e-jām-o-subū kareñge
tahārat-e-zāhirī se hāsil na ho sakegī safā-e-bātin
bahā ke ham ḳhūn-e-tauba 'vahshat' usī se ik din vuzū kareñge
Top Urdushayar.com