Wahshat Raza Ali Kalkatvi

juda karenge na hum dil se hasrat-e-dil ko

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

Kolkata, West Bengal, India

1881-1956
judā kareñge na ham dil se hasrat-e-dil ko
aziiz kyuuñ na rakheñ zindagī ke hāsil ko
nihāñ agarche hai mahfil se soz-e-dil merā
magar ye raaz hai ma.alūm sham-e-mahfil ko
vo tuul khīñchā balā kā tire taġhāful ne
ki sabr aa hī gayā mere muztarib dil ko
kaThin hai kaam to himmat se kaam le ai dil
bigāḌ kaam na mushkil samajh ke mushkil ko
vo kaam merā nahīñ jis kā nek ho anjām
vo raah merī nahīñ jo ga.ī ho manzil ko
ḳhabar huī na unheñ mere muztarib dil kī
ġhalat ḳhayāl hai ye dil se raah hai dil ko
balā kī hotī hai 'vahshat' kī bhī ġhazal-ḳhvānī
ki ik surūr sā hotā hai ahl-e-mahfil ko
Top Urdushayar.com