kyā hai ki aaj chalte ho katrā ke raah se
dekho idhar nigāh milā kar nigāh se
sharm-e-jafā se chhupte ho tum dād-ḳhvāh se
uzr-e-gunah tumhārā hai bad-tar gunāh se
un kī hayā o sharm ne rakkhī hai dil kī sharm
kyā hogā jab nigāh milegī nigāh se
insāf bhī yahī hai yahī shān-e-husn bhī
haañ haañ nazar churāo qatīl-e-nigāh se
baitus-sanam se duur nahīñ hai haram kī raah
kyuuñ raah pūchheñ zāhid-e-gum-karda-rāh se
kyuuñ shikva ham kareñ adam-e-iltifāt kā
vo pūchhte to haiñ nigah-e-gāh-gāh se
zāhid hazār haif ki pahuñchā na koī faiz
rindoñ ke mai-kade ko tirī ḳhānqāh se
parvānoñ kā hujūm hai sham.a-e-jamāl par
jiitā phiregā kaun tirī jalva-gāh se
shikva karūñ tumhārī jafā kā to rū-siyāh
dekho na tum mujhe nigah-e-uzr-ḳhvāh se
ḳhush.hāli-e-raqīb se vo shaad shaad haiñ
yaanī haiñ be-ḳhabar mire hāl-e-tabāh se
gardan jhukī huī hai uThāte nahīñ haiñ sar
Dar hai unheñ nigāh laḌegī nigāh se
niklā na koī haif yahāñ qābil-e-shikār
sayyād ḳhālī haath phirā said-gāh se
har chand 'vahshat' apnī ġhazal thī girī huī
mahfil suḳhan kī guuñj uThī vaah vaah se