Ameer Minai

tera kya kaam ab dil mein gham-e-jaanana aata hai

Ameer Minai

Lucknow, Uttar pradesh, India

1829-1900
tirā kyā kaam ab dil meñ ġham-e-jānāna aatā hai
nikal ai sabr is ghar se ki sāhib-ḳhāna aatā hai
nazar meñ terī āñkheñ sar meñ saudā terī zulfoñ kā
ka.ī pariyoñ ke saa.e meñ tirā dīvāna aatā hai
vafūr-e-rahmat-e-bārī hai mai-ḳhvāroñ pe in rozoñ
jidhar se abr uThtā hai sū-e-mai-ḳhāna aatā hai
lagī dil kī bujhā.e bekasī meñ kaun hai aisā
magar ik girya-e-hasrat ki be-tābāna aatā hai
unhīñ se ġhamze kartī hai jo tujh par jaan dete haiñ
ajal tujh ko bhī kitnā nāz-e-ma.ashūqāna aatā hai
pareshānī meñ ye aalam tirī zulfoñ kā dekhā hai
ki ik ik baal par qurbān hone shāna aatā hai
chhalak jaatā hai jām-e-umr apnā vā.e-nākāmī
hamāre muñh talak saaqī agar paimāna aatā hai
vo but hī mehrbāñ sab apnā apnā haal kahte haiñ
lab-e-ḳhāmosh tujh ko bhī koī afsāna aatā hai
tilism-e-tāza terā sāya-e-dīvār rakhtā hai
badaltā hai parī kā bhes jo dīvāna aatā hai
ye azmat rah ke zāhid in butoñ meñ ham ne paa.ī hai
ki ka.aba ham ko lene tā-dar-e-mai-ḳhāna aatā hai
do-rañgī se nahīñ ḳhālī adam bhī sūrat-e-hastī
koī hoshyār aatā hai koī dīvāna aatā hai
humā yuuñ ustuḳhvān-e-soḳhta par mere girtā hai
taḌap kar sham.a par jaise koī parvāna aatā hai
udhar haiñ husn kī ghāteñ idhar haiñ ishq kī bāteñ
tujhe afsūñ to mujh ko use parī afsāna aatā hai
kalejā haath se ahl-e-tama.a ke chaak hotā hai
sadaf-āsā agar mujh ko mayassar daana aatā hai
namak jallād chhiḌkā chāhtā hai mere zaḳhmoñ par
maze kā vaqt ab ai himmat-e-mardāna aatā hai
zabardastī kā dhaḌkā vasl meñ tum ko samāyā hai
kidhar ho hosh meñ aao koī aayā na aatā hai
ilāhī kis kī sham-e-husn se raushan hai ghar merā
ki ban jaatā hai jugnū aaj jo parvāna aatā hai
vo āshiq ḳhāl-o-ḳhat kā huuñ nazr-e-mor kartā huuñ
mayassar tīsare din bhī jo mujh ko daana aatā hai
'amīr' aur aane vaalā kaun hai gor-e-ġharībāñ par
jo raushan sham.a hotī hai to haañ parvāna aatā hai
Top Urdushayar.com