Ameer Minai

tir par tir lagao tumhein Dar kis ka hai

Ameer Minai

Lucknow, Uttar pradesh, India

1829-1900
tiir par tiir lagāo tumheñ Dar kis kā hai
siina kis kā hai mirī jaan jigar kis kā hai
ḳhauf-e-mīzān-e-qayāmat nahīñ mujh ko ai dost
tū agar hai mire palle meñ to Dar kis kā hai
koī aatā hai adam se to koī jaatā hai
saḳht donoñ meñ ḳhudā jaane safar kis kā hai
chhup rahā hai qafas-e-tan meñ jo har tā.ir-e-dil
aañkh khole hue shāhīn-e-nazar kis kā hai
nām-e-shā.ir na sahī sher kā mazmūn ho ḳhuub
phal se matlab hameñ kyā kaam shajar kis kā hai
said karne se jo hai tā.ir-e-dil ke munkir
ai kamāñ-dār tire tiir meñ par kis kā hai
merī hairat kā shab-e-vasl ye baa.is hai 'amīr'
sar ba-zānū huuñ ki zaanū pe ye sar kis kā hai
Top Urdushayar.com