Ameer Minai

na bewafai ka Dar tha na gham judai ka

Ameer Minai

Lucknow, Uttar pradesh, India

1829-1900
na bevafā.ī kā Dar thā na ġham judā.ī kā
mazā meñ kyā kahūñ āġhāz-e-āshnā.ī kā
kahāñ nahīñ hai tamāshā tirī ḳhudā.ī kā
magar jo dekhne de ro.ab kibriyā.ī kā
vo nā-tavāñ huuñ agar nabz ko huī jumbish
to saaf joḌ judā ho gayā kalā.ī kā
shab-e-visāl bahut kam hai āsmāñ se kaho
ki joḌ de koī TukḌā shab-e-judā.ī kā
ye josh-e-husn se tañg aa.ī hai qabā in kī
ki band band hai ḳhvāhāñ girah-kushā.ī kā
kamān haath se rakh said-gāh-e-irfāñ meñ
ki tiir said hai yaañ dām-e-nā-rasā.ī kā
vo bad-nasīb huuñ yaar aa.e mere ghar to bane
simaT ke vasl kī shab til ruḳh-e-judā.ī kā
hazāroñ kāfir o momin paḌe haiñ sajde meñ
butoñ ke ghar meñ bhī sāmān hai ḳhudā.ī kā
tamām ho ga.e ham pahle hī nigāh meñ haif
na raat vasl kī dekhī na din judā.ī kā
nahīñ hai mohr lifāfa pe ḳhat ke ai qāsid
ye daaġh hai mirī qismat kī nā-rasā.ī kā
naqāb Daal ke ai āftāb-e-hashr nikal
ḳhudā se Dar ye kahīñ din hai ḳhud-numā.ī kā
nahīñ qarār ghaḌī bhar kisī ke pahlū meñ
ye zauq hai tire nāvak ko dilrubā.ī kā
marī taraf se koī jā ke kohkan se kahe
nahīñ nahīñ ye mahal zor-āzmā.ī kā
kahā jo maiñ ne ki maiñ ḳhāk-e-rāh huuñ terā
to bole hai abhī pindār ḳhud-numā.ī kā
junūñ jo merī taraf ho vo jast-o-ḳhez karūñ
ki dil ho TuuT ke TukḌe shikasta-pā.ī kā
'amīr' ravayye apne nasīb ko aisā
ki ho saped siyah abr nā-rasā.ī kā
Top Urdushayar.com