va.ada-e-vasl aur vo kuchh baat hai
ho na ho is meñ bhī koī ghaat hai
ḳhalq nāhaq darpai-e-isbāt hai
hai dahan us kā kahāñ ik baat hai
bosa-e-chāh-e-zanḳhdāñ ġhair leñ
Duub marne kī ye ai dil baat hai
ghar se nikle ho nihatte vaqt-e-qatl
ye bhī bahr-e-qatl-e-āshiq ghaat hai
maiñ ne itnā hī kahā banvāo ḳhat
ye bigaḌne kī bhalā kyā baat hai
ba.ad muddat baḳht jaage haiñ mire
baiThe haiñ sone ko saarī raat hai
kyā karūñ vasf-e-butān-e-ḳhud-pasand
in se baḌh kar bas ḳhudā kī zaat hai
bātoñ bātoñ meñ jo maiñ kuchh kah gayā
hañs ke farmāne lage kyā baat hai
harf-e-matlab saaf kah saktā nahīñ
hai adab maan.e ki pahlī raat hai
mujh se ho iz.hār-e-ulfat vāh-vā
aap ke farmāne kī ye baat hai
ro rahe haiñ ham milā de lab se lab
mai-kashī ho sāqiyā barsāt hai
zach hai terī chaal se raftār-e-charḳh
mohr-e-ruḳh se bāzī-e-mah maat hai
kaisī kaTtī hai siyah-baḳhtī meñ umr
raat se din din se bad-tar raat hai
chheḌtā hai dil ko kyā ai dard-e-hijr
ḳhud giraftār-e-hazār-āfāt hai
ai ġhanī de sīm-o-zar vaqt-e-balā
māl-e-duniyā jaan kī ḳhairāt hai
gar jagah dil meñ nahīñ phir is se kyā
ye doshambe kī ye budh kī raat hai
saaf kah de tū yahāñ aayā na kar
yaar ye sau baat kī ik baat hai
laḳht-e-dil haiñ mere khāne ko 'amīr'
bas inhīñ TukḌoñ pe ab auqāt hai