dil jo siine meñ zaar sā hai kuchh
ġham se be-iḳhtiyār sā hai kuchh
raḳht-e-hastī badan pe Thiik nahīñ
jāma-e-musta.ār sā hai kuchh
chashm-e-nargis kahāñ vo chashm kahāñ
nashsha kaisā ḳhumār sā hai kuchh
naḳhl-e-ummīd meñ na phuul na phal
shajar-e-be-bahār sā hai kuchh
sāqiyā hijr meñ ye abr nahīñ
āsmāñ par ġhubār sā hai kuchh
kal to aafat thī dil kī betābī
aaj bhī be-qarār sā hai kuchh
murda hai dil to gor hai siina
daaġh sham-e-mazār sā hai kuchh
is ko duniyā kī us ko ḳhuld kī hirs
rind hai kuchh na pārsā hai kuchh
pahle is se thā hoshiyār 'amīr'
ab to be-iḳhtiyār sā hai kuchh