Ameer Minai

ham-sar-e-zulf qad-e-hur-e-shamail Thahra

Ameer Minai

Lucknow, Uttar pradesh, India

1829-1900
ham-sar-e-zulf qad-e-hūr-e-shamā.il Thahrā
laam kā ḳhuub alif madd-e-muqābil Thahrā
dīda-e-tar se jo dāman meñ girā dil Thahrā
bahte bahte ye safīna lab-e-sāhil Thahrā
kī nazar rū-e-kitābī pe to kuchh dil Thahrā
maktab-e-shauq bhī qur.ān kī manzil Thahrā
nighat-e-gul se pareshān huā us kā dimāġh
ḳhanda-e-gul na huā shor-e-anādil Thahrā
najd se qais jo aayā mare zindāñ kī taraf
der tak gosh-bar-āvāz-e-salāsil Thahrā
husn jis tifl kā chamkā vo huā bā.is-e-qatl
jis ne talvār sambhālī mirā qātil Thahrā
ḳhat jo niklā ruḳh-e-jānāñ pe milā bosa-e-ḳhāl
yahī daana faqat is kisht kā hāsil Thahrā
alam ik nuqta jo mash.hūr thā ai josh-e-junūñ
ġhaur se kī jo nazar nuqta-e-bātil Thahrā
duur jab tak the taḌaptā thā meñ kaisā kaisā
paas aa kar vo jo Thahre to mirā dil Thahrā
kasrat-e-dāġh se gul-dasta banā dil to kyā
zīnat-e-bāġh na ārā.ish-e-mahfil Thahrā
dauḌtā qais bhī aatā hai nihāyat hī qarīb
ik zarā naaqe ko ai sāhib-e-mahmil Thahrā
dam jo betāb thā muddat se mire siine meñ
teġh-e-qātil ke tale kuchh dam-e-bismil Thahrā
ham baḌī duur se aa.e haiñ tumhārā hai ye haal
ghar se darvāze tak aanā ka.ī manzil Thahrā
ab tak aatī hai sadā turbat-e-lailā se 'amīr'
sārbān ab to ḳhudā ke liye mahmil Thahrā
Top Urdushayar.com