pilā sāqiyā arġhavānī sharāb
ki piirī meñ de naujavānī sharāb
vo sho.ala hai saaqī ki rañjak kī tarah
uḌā detī hai nā-tavānī sharāb
kahāñ bāda-e-aish taqdīr meñ
piyūñ maiñ to ho jaa.e paanī sharāb
na laayā hai shīsha na jām-o-subū
pilātā hai saaqī zabānī sharāb
kahāñ aql-e-barnā kahāñ aql-e-pīr
na.e se hai behtar purānī sharāb
mire chehra-e-zard ke aks se
huī sāqiyā za.afrānī sharāb
hue mast dekhā jo phūloñ kā rañg
piyāloñ meñ thī arġhavānī sharāb
kahāñ chashma-e-ḳhizr kaise ḳhizar
ḳhizar hai mirī zindagānī sharāb
ḳhizar huuñ agar maiñ to jā kar piyūñ
sar-e-chashma-e-zindagānī sharāb
gulistāñ hai phūloñ se kyā laal laal
chale sāqiyā arġhavānī sharāb
ajab sāqiyā gandumī rañg hai
ki partav se bantī hai dhānī sharāb
rahe taaq par pārsā.ī 'amīr'
pilā.e jo vo yār-e-jānī sharāb