Ameer Minai

phulon mein agar hai bu tumhaari

Ameer Minai

Lucknow, Uttar pradesh, India

1829-1900
phūloñ meñ agar hai bū tumhārī
kāñToñ meñ bhī hogī ḳhū tumhārī
us dil pe hazār jaan sadqe
jis dil meñ hai aarzū tumhārī
do din meñ gulū bahār kyā kī
rañgat vo rahī na bū tumhārī
chaTkā jo chaman meñ ġhuncha-e-gul
bū de ga.ī guftugū tumhārī
mushtāq se duur bhāgtī hai
itnī hai ajal meñ ḳhū tumhārī
gardish se hai mahr-o-mah ke sābit
un ko bhī hai justujū tumhārī
āñkhoñ se kaho kamī na karnā
ashkoñ se hai aabrū tumhārī
lo sard huā maiñ nīm-bismil
puurī huī aarzū tumhārī
sab kahte haiñ jis ko lailatul-qadr
hai kākul-e-mushk-bū tumhārī
tanhā na phiro 'amīr' shab ko
hai ghaat meñ har adū tumhārī
Top Urdushayar.com