Ameer Minai

mere bas mein ya to ya-rab wo sitam-shiar hota

Ameer Minai

Lucknow, Uttar pradesh, India

1829-1900
mire bas meñ yā to yā-rab vo sitam-shi.ār hotā
ye na thā to kaash dil par mujhe iḳhtiyār hotā
pas-e-marg kaash yuuñ hī mujhe vasl-e-yār hotā
vo sar-e-mazār hotā maiñ tah-e-mazār hotā
tirā mai-kada salāmat tire ḳhum kī ḳhair saaqī
mirā nashsha kyuuñ utartā mujhe kyuuñ ḳhumār hotā
maiñ huuñ nā-murād aisā ki bilak ke yaas rotī
kahīñ pā ke aasrā kuchh jo umīd-vār hotā
nahīñ pūchhtā hai mujh ko koī phuul is chaman meñ
dil-e-dāġh-dār hotā to gale kā haar hotā
vo mazā diyā taḌap ne ki ye aarzū hai yā-rab
mire donoñ pahluoñ meñ dil-e-be-qarār hotā
dam-e-naz.a bhī jo vo but mujhe aa ke muñh dikhātā
to ḳhudā ke muñh se itnā na maiñ sharmsār hotā
na malak savāl karte na lahad fishār detī
sar-e-rāh-e-kū-e-qātil jo mirā mazār hotā
jo nigāh kī thī zālim to phir aañkh kyuuñ churā.ī
vahī tiir kyuuñ na maarā jo jigar ke paar hotā
maiñ zabāñ se tum ko sachchā kaho laakh baar kah duuñ
ise kyā karūñ ki dil ko nahīñ e'tibār hotā
mirī ḳhaak bhī lahad meñ na rahī 'amīr' baaqī
unheñ marne hī kā ab tak nahīñ e'tibār hotā
Top Urdushayar.com