saraktī jaa.e hai ruḳh se naqāb āhista āhista
nikaltā aa rahā hai āftāb āhista āhista
javāñ hone lage jab vo to ham se kar liyā parda
hayā yak-laḳht aa.ī aur shabāb āhista āhista
shab-e-furqat kā jaagā huuñ farishto ab to sone do
kabhī fursat meñ kar lenā hisāb āhista āhista
savāl-e-vasl par un ko adū kā ḳhauf hai itnā
dabe hoñToñ se dete haiñ javāb āhista āhista
vo bedardī se sar kāTeñ 'amīr' aur maiñ kahūñ un se
huzūr āhista āhista janāb āhista āhista