chāñd sā chehra nuur kī chitvan māshā-allāh māshā-allāh
turfa nikālā aap ne joban māshā-allāh māshā-allāh
gul ruḳh-e-nāzuk zulf hai sumbul aañkh hai nargis seb-e-zanaḳhdāñ
husn se tum ho ġhairat-e-gulshan māshā-allāh māshā-allāh
sāqī-e-bazm-e-roz-e-azal ne bāda-e-husn bharā hai is meñ
āñkheñ haiñ sāġhar shīsha hai gardan māshā-allāh māshā-allāh
qahr ġhazab zāhir kī rukāvaT āfat-e-jāñ dar-parda lagāvaT
chaah kī tevar pyaar kī chitvan māshā-allāh māshā-allāh
ġhamza uchakkā ishva hai Daaku qahr adā.eñ sehr haiñ bāteñ
chor nigāheñ naaz hai rahzan māshā-allāh māshā-allāh
nuur kā tan hai nuur ke kapḌe us par kyā zevar kī chamak hai
chhalle kañgan ikke joshan māshā-allāh māshā-allāh
jam.a kiyā ziddain ko tum ne saḳhtī aisī narmī aisī
mom badan hai dil hai aahan māshā-allāh māshā-allāh
vaah 'amīr' aisā ho kahnā sher haiñ yā ma.ashūq kā gahna
saaf hai bandish mazmūñ raushan māshā-allāh māshā-allāh