us kī hasrat hai jise dil se miTā bhī na sakūñ
DhūñDne us ko chalā huuñ jise pā bhī na sakūñ
Daal ke ḳhaak mere ḳhuun pe qātil ne kahā
kuchh ye mehñdī nahīñ merī ki chhupā bhī na sakūñ
zabt kam-baḳht ne yaañ aa ke galā ghoñTā hai
ki use haal sunā.ūñ to sunā bhī na sakūñ
naqsh-e-pā dekh to luuñ laakh karūñgā sajde
sar mirā arsh nahīñ hai jo jhukā bhī na sakūñ
bevafā likhte haiñ vo apne qalam se mujh ko
ye vo qismat kā likhā hai jo miTā bhī na sakūñ
is tarah so.e haiñ sar rakh ke mire zaanū par
apnī soī huī qismat ko jagā bhī na sakūñ