Ameer Minai

ya-rab shab-e-visal ye kaisa gajar baja

Ameer Minai

Lucknow, Uttar pradesh, India

1829-1900
yā-rab shab-e-visāl ye kaisā gajar bajā
agle pahar ke saath hī pichhlā pahar bajā
āvāz-e-sūr sun ke kahā dil ne qabr meñ
kis kī barāt aa.ī ye baajā kidhar bajā
kahte haiñ āsmāñ jo tumhāre makāñ ko ham
kahtā hai āftāb durust aur qamar bajā
jaago nahīñ ye ḳhvāb kā mauqa.a musāfiro
naqqārā tak bhī coach kā vaqt-e-sahar bajā
ta.amīr maqbare kī hai lāzim bajā.e-qasr
zar-dāroñ se kaho ki kareñ sarf-e-zar bajā
haiñ ham to shādmāñ ki hai ḳhat meñ payām-e-vasl
baġhleñ ḳhushī se tū bhī to ai nāma-bar bajā
tujh ko nahīñ jo un se mohabbat kahāñ mujhe
taalī na ek haath se ai be-ḳhabar bajā
nafrat hai ye ḳhushī se ki ashk ...apne gir paḌe
ham-rāh ta.aziya ke bhī baajā agar bajā
jā-e-qayām manzil-e-hastī na thī 'amīr'
utre the ham sirā meñ ki kos-e-safar bajā
Top Urdushayar.com