Ameer Minai

dil ko tarz-e-nigah-e-yar jatate aae

Ameer Minai

Lucknow, Uttar pradesh, India

1829-1900
dil ko tarz-e-nigah-e-yār jatāte aa.e
tiir bhī aa.e to be-par kī uḌāte aa.e
bādshāhoñ kā hai darbār dar-e-pīr-e-muġhāñ
saikḌoñ jaate ga.e saikḌoñ aate aa.e
chhup ke bhī aa.e mire ghar to vo darbānoñ ko
apnī pāzeb kī jhankār sunāte aa.e
roz-e-mahshar jo bulā.e ga.e dīvāna-e-zulf
beḌiyāñ pahne hue shor machāte aa.e
kyā kaheñge koī mahshar meñ jo pūchhegā 'amīr'
kyuuñ na bigḌī huī bātoñ ko banāte aa.e
Top Urdushayar.com