Ameer Minai

achchhe isa ho marizon ka KHayal achchha hai

Ameer Minai

Lucknow, Uttar pradesh, India

1829-1900
achchhe iisā ho marīzoñ kā ḳhayāl achchhā hai
ham mare jaate haiñ tum kahte ho haal achchhā hai
tujh se māñgūñ maiñ tujhī ko ki sabhī kuchh mil jaa.e
sau savāloñ se yahī ek savāl achchhā hai
dekh le bulbul o parvāna kī betābī ko
hijr achchhā na hasīnoñ kā visāl achchhā hai
aa gayā us kā tasavvur to pukārā ye shauq
dil meñ jam jaa.e ilāhī ye ḳhayāl achchhā hai
āñkheñ dikhlāte ho joban to dikhāo sāhab
vo alag bāñdh ke rakkhā hai jo maal achchhā hai
barq agar garmi-e-raftār meñ achchhī hai 'amīr'
garmi-e-husn meñ vo barq-jamāl achchhā hai
Top Urdushayar.com