maiñ ro ke aah karūñgā jahāñ rahe na rahe
zamīñ rahe na rahe āsmāñ rahe na rahe
rahe vo jān-e-jahāñ ye jahāñ rahe na rahe
makīñ kī ḳhair ho yā rab makāñ rahe na rahe
abhī mazār par ahbāb fātiha paḌh leñ
phir is qadar bhī hamārā nishāñ rahe na rahe
ḳhudā ke vāste kalma butoñ kā paḌh zāhid
phir iḳhtiyār meñ ġhāfil zabāñ rahe na rahe
ḳhizāñ to ḳhair se guzrī chaman meñ bulbul kī
bahār aa.ī hai ab āshiyāñ rahe na rahe
chalā to huuñ pa.e iz.hār-e-dard-e-dil dekhūñ
huzūr-e-yār majāl-e-bayāñ rahe na rahe
'amīr' jamā haiñ ahbāb dard-e-dil kah le
phir iltifāt-e-dil-e-dostāñ rahe na rahe