Ameer Minai

saf kahte ho magar kuchh nahin khulta kahna

Ameer Minai

Lucknow, Uttar pradesh, India

1829-1900
saaf kahte ho magar kuchh nahīñ khultā kahnā
baat kahnā bhī tumhārā hai muammā kahnā
ro ke us shoḳh se qāsid mirā ronā kahnā
hañs paḌe us pe to phir harf-e-tamannā kahnā
masal-e-maktūb na kahne meñ hai kyā kyā kahnā
na mirī tarz-e-ḳhamoshī na kisī kā kahnā
aur thoḌī sī shab-e-vasl baḌhā de yā-rab
sub.h nazdīk hameñ un se hai kyā kyā kahnā
phaaḌ khātā hai jo ġhairoñ ko jhapaT kar sag-e-yār
maiñ ye kahtā huuñ mire sher tirā kyā kahnā
har bun-e-mū-e-mizha meñ haiñ yahāñ sau tūfāñ
ain ġhaflat hai marī aañkh ko dariyā kahnā
vasf-e-ruḳh meñ jo sune sher vo hañs kar bole
sher haiñ nuur ke hai nuur kā terā kahnā
lā sakoge na zarā jalva-e-dīdār kī taab
arinī muñh se na ai hazrat-e-mūsā kahnā
kar liyā ahd kabhī kuchh na kaheñge muñh se
ab agar sach bhī kaheñ tum hameñ jhūTā kahnā
ḳhaak meñ zid se milāo na mire aañsū ko
sachche motī ko munāsib nahīñ jhūTā kahnā
kaise nādāñ haiñ jo achchhoñ ko burā kahte haiñ
ho burā bhī to use chāhiye achchhā kahnā
dam-e-āḳhir tū buto yaad ḳhudā karne do
zindagī bhar to kiyā maiñ ne tumhārā kahnā
paḌhte haiñ dekh ke us but ko farishte bhī darūd
marhabā salle-alā salle-alā kyā kahnā
ai buto tum jo adā aa ke karo masjid meñ
lab-e-mehrāb kahe nām-e-ḳhudā kyā kahnā
in hasīnoñ kī jo tārīf karo chiḌhte haiñ
sach to ye hai ki burā hai unheñ achchhā kahnā
shauq ka.abe liye jaatā hai havas jānib-e-dair
mere allāh bajā lā.ūñ meñ kis kā kahnā
saarī mahfil ko ishāroñ meñ luTā do ai jaan
siikh lo chashm-e-suḳhan-go se latīfa kahnā
ghaTte ghaTte meñ rahā ishq-e-kamar meñ aadhā
jāma-e-tan ko mire chāhiye niimā kahnā
meñ to āñkhoñ se bajā laatā huuñ irshād-e-huzūr
aap sunte nahīñ kānoñ se bhī merā kahnā
chustī-e-tab.a se ustād kā hai qaul 'amīr'
ho zamīñ sust magar chāhiye achchhā kahnā
Top Urdushayar.com