Ameer Minai

baat karne mein to jati hai mulaqat ki raat

Ameer Minai

Lucknow, Uttar pradesh, India

1829-1900
baat karne meñ to jaatī hai mulāqāt kī raat
kyā barī baat hai rah jaao yahīñ raat kī raat
zarre afshāñ ke nahīñ kirmak-e-shab-tāb se kam
hai vo zulf-e-araq-ālūd ki barsāt kī raat
zāhid us zulf phañs jaa.e to itnā pūchhūñ
kahiye kis tarah kaTī qibla-e-hājāt kī raat
shaam se sub.h talak chalte haiñ jām-e-mai-e-aish
ḳhuub hotī hai basar ahl-e-ḳharābāt kī raat
vasl chāhā shab-e-me.arāj to ye uzr kiyā
hai ye allāh o payambar kī mulāqāt kī raat
ham musāfir haiñ ye duniyā hai haqīqat meñ sarā
hai tavaqquf hameñ is jā to faqat raat kī raat
chal ke ab so raho bāteñ na banāo sāhib
vasl kī shab hai nahīñ harf-e-hikāyāt kī raat
lailatul-qadr hai vaslat kī duā maañg 'amīr'
is se behtar hai kahāñ koī munājāt kī raat
Top Urdushayar.com