Ameer Minai

hai KHamoshi zulm-charKH-e-dew-paikar ka jawab

Ameer Minai

Lucknow, Uttar pradesh, India

1829-1900
hai ḳhamoshī zulm-charḳh-e-dev-paikar kā javāb
aadmī hotā to ham dete barābar kā javāb
jo bagūlā dasht-e-ġhurbat meñ uThā samjhā ye maiñ
kartī hai ta.amīr dīvānī mire ghar kā javāb
saath ḳhanjar ke chalegī vaqt-e-zab.h apnī zabān
jaan dene vaale dete haiñ barābar kā javāb
sajda kartā huuñ jo maiñ Thokar lagātā hai vo but
paañv us kā baḌh ke detā hai mire sar kā javāb
abr ke TukḌe na uljheñ merī mauj-e-ashk se
ḳhushk maġhzoñ se hai mushkil misra-e-tar kā javāb
vo khiñchā thā maiñ bhī khiñch rahtā to bantī kis tarah
sar jhukā detā thā qātil tere ḳhanjar kā javāb
jīte-jī mumkin nahīñ us shoḳh kā ḳhat dekhnā
ba.ad mere aa.egā mere muqaddar kā javāb
shaiḳh kahtā hai barhaman ko barhaman us ko saḳht
ka.aba o but-ḳhāna meñ patthar hai patthar kā javāb
roz dikhlātā hai gardūñ kaisī kaisī sūrateñ
but-tarāshī meñ hai ye kāfir bhī aazar kā javāb
har jagah qabr-e-gadā takiye meñ har jā gor-e-shāh
ek ghar is shahr meñ hai dūsre ghar kā javāb
jalva-gar hai nūr-e-haq hone se yaktā.ī 'amīr'
saaya bhī hotā agar hotā payambar kā javāb
Top Urdushayar.com