kahā jo maiñ ne ki yūsuf ko ye hijāb na thā
to hañs ke bole vo muñh qābil-e-naqāb na thā
shab-e-visāl bhī vo shoḳh be-hijāb na thā
naqāb ulaT ke bhī dekhā to be-naqāb na thā
lipaT ke chuum liyā muñh miTā diyā un kā
nahīñ kā un ke sivā is ke kuchh javāb na thā
mire janāze pe ab aate sharm aatī hai
halāl karne ko baiThe the jab hijāb na thā
nasīb jaag uThe so ga.e jo paañv mire
tumhāre kūche se behtar maqām-e-ḳhvāb na thā
ġhazab kiyā ki ise tū ne mohtasib toḌā
are ye dil thā mirā shīsha-e-sharāb na thā
zamāna vasl meñ letā hai karvaTeñ kyā kyā
firāq-e-yār ke din ek inqalāb na thā
tumhīñ ne qatl kiyā hai mujhe jo tante ho
akele the malak-ul-maut ham-rikāb na thā
duā-e-tauba bhī ham ne paḌhī to mai pī kar
maza hī ham ko kisī shai kā be-sharāb na thā
maiñ rū-e-yār kā mushtāq ho ke aaya thā
tire jamāl kā shaidā to ai naqāb na thā
bayān kī jo shab-e-ġham kī bekasī to kahā
jigar meñ dard na thā dil meñ iztirāb na thā
vo baiThe baiThe jo de baiThe qatl-e-ām kā hukm
hañsī thī un kī kisī par koī itaab na thā
jo laash bhejī thī qāsid kī bhejte ḳhat bhī
rasīd vo to mire ḳhat kī thī javāb na thā
surūr-e-qatl se thī haath paañv ko jumbish
vo mujh pe vajd kā aalam thā iztirāb na thā
sabāt bahr-e-jahāñ meñ nahīñ kisī ko 'amīr'
idhar numūd huā aur udhar hubāb na thā