Ameer Minai

dil juda mal juda jaan juda lete hain

Ameer Minai

Lucknow, Uttar pradesh, India

1829-1900
dil judā maal judā jaan judā lete haiñ
apne sab kaam bigaḌ kar vo banā lete haiñ
ho hī rahtā hai kisī but kā nazāra tā-shām
sub.h ko uTh ke jo ham nām-e-ḳhudā lete haiñ
majlis-e-vāz meñ jab baiThte haiñ ham mai-kash
duḳhtar-e-raz ko bhī pahlū meñ biThā lete haiñ
aise bose ke evaz māñgte haiñ dil kyā ḳhuub
jī meñ socheñ to vo kyā dete haiñ kyā lete haiñ
apnī mahfil se uThā.e haiñ abas ham ko huzūr
chupke baiThe haiñ alag aap kā kyā lete haiñ
but bhī kyā chiiz haiñ allāh salāmat rakkhe
gāliyāñ de ke ġharīboñ kī duā lete haiñ
shāḳh-e-marjāñ meñ javāhar nazar aate haiñ 'amīr'
kabhī uñglī jo vo dāñtoñ meñ dabā lete haiñ
Top Urdushayar.com